Artificial Intelligence (AI) ka aaj kal computer ki duniya main bahot naam hey..aur iss field par bahot kaam bhi ho raha hey..magar AI nain intehai kam arsey main jo taraqqee kar li hey wo qable sataish hey. AI hey kia? Iss ki kitni branches hain? Har branch ka kia kaam hey? kiss kiss field main AI ka amal dakhal hey? inn sab baton key barey main koshish karoon ga kah jitna bhi ho sakey aap ko bataoon. ye topic kafi lengthy hey lihaza koshish karoon ga kah iss ko mukhtasar arsey main poora kar sakoon ... kion kah kuch masroofiyaat bhi arhey aa jati hain..khair tu aatey hain apnain topic ki taraf....
What Is Artificial Intelligence?
Iss ki kafi definitions hain. Bahar haal main asan lafzoon main baiyan karoon ga.
"Insani Dimagh ki khasosiyat ko machine main muntaqil kar daina..aur uss sey aisey kaam perform karwana jo Insani Dimagh karta hey..iss qisam ki study ko AI kahtey hain"
yani jiss tara Insani Dimagh decesion ley sakta hey ..ussi tara machine bhi halat ki munsibat sey decesion ley...jiss tara insani dimagh soch sakta hey ussi tara machine bhi soch sakey...jiss tara human mind apnain previous experiences sey seekh sakta hey ussi tarah machine bhi kar sakey...
ye tu tha AI ka taruf... ab aatey hain iss ki Branches ki taraf...tu iss ki Branches bhi kafi phelti ja rahi hain... Most familiar branches ye hain.
(1) Neural Networks
(2) Expert Systems
(3) NLP (Natural Language Processing
(4) Robotics
abhi filhal inn Branches key barey main halka sa touch de daita hoon..inshallah phir detail main har aik ko discuss karain gey..
Neural Networks: Neural ka word Neuron sey nikla hey ..aur Neuron human mind key andar cells hotey hain ..jo billions ki tadad main hotey hain..lihaza aisi khasosiyat ko machine main put kar daina jo dimagh karta hey...
Expert System: bilkul ussi tara jiss tara aap kissi human expert sey baat karain aur wo aap ko uss key jawab dey like Doctor, Chemist, Lawyer..Issi tara aap computer sey sawal karain aur wo aap ko na siraf jawab dey balkah aap ko suggestions bhi dey...
NLP: Natural Language Processing do tarah ki hoti hey..
(1) Written text processing
(2) Spoken text processing
Written text processing ki misal aap "Translation" ki lain..yani aap English main koi sentence likhtey hain aur chahtey hain kah issi ko Spanish language main aap ka computer convert kar dey tu aap ka AI ka program aap key likhey hoye text ko samjhey ga ..aur phir ussey aap ki matloba zaban main uss key grammer rules key mutabiq convert kar dey ga..iss ko Written Language Processing kahtey hain.
aur Spoken language processing ki misal aap ko main MS.Office Xp ki deta hoon... uss key MS.Word main aik option hoti hey kah aap boltey jain ..aur computer khud hi type karta jaye ga..iss ko Spoken Language Processing kahtey hain..
Robotics: yani machine ko insan ki tara bana daina kah wo move bhi kar sakain.. aur decision bhi ley sakain...
kuch Robot aisey hotey hain jiss main jo programming kar di jati hey bas wohi kartey hain..jabkah kuch aisey hotey hain jinn main ye salahiyyat hoti hey kah na siraf wo kam perform karain jiss ki un main feeding ki hoti hey balkah khud sey bhi decisions ley sakain...
ye tu tha AI aur iss ki Branches key barey main kuch taruf... Ainda inshallah inn par mazeed information di jaye gee...
acha g ... ab ijazat g
Allah Hafiz

0 comments:
Post a Comment